Zameenain Nabi ki ..Zamana Nabi ka
- Nadeem Sarwar (1990)
YA RASOOL ALLAH YA HABIB ALLAH YA NABI ALLAH YA RASOOL ALLAH
Balaghal Ula Bi Kamalihi, Kashafad Duja Bi Jamalihi,
Hasunat Jameeu Khisalihi, Sallo Alaihi Wa aalihi.
YA RASOOL ALLAH YA HABIB ALLAH YA NABI ALLAH YA RASOOL ALLAH
(Zameenain Nabi ki ..Zamana Nabi ka
Yeh sari Khudai Khazana Nabi ka ) x2
sallallahu alaihi wasallam x2
1) Na Bhoolay ga teri Sada ko Zamana
Utar ker Falak say Zameen per wo ana
woh Maccay ki Galiyon main Khoon main nahana
woh wazn e resalat utha na NABI ka
2) Wo bandon ko apnay Khuda say mila ker
saleqa hamain bandagi ka sekha ker
Jo thay darmiyan thay uun budon ko hata ker
Khuda ka hi sajda karana Nabi ka
3) Khuda jis say dekhay Nabi woh Basarat
sunay jis say Khaliq Nabi woh samaat
Masheyat Khuda ki,Nabi ki Masheyat
Irada Khuda ka ,Irada Nabi ka
4) Salam un per jo hay Zamanay per saya
kay un main Khuda nay hay khud ko basaya
Hussain o Hassan ho Ali ho kay Zehra
Nabi ki tarhan hay Gharana Nabi ka
5) yeh mujda sunay hum say aqwam e aalam
kay ab waqt shayad bohat reh gaya kam
kay ain sawar is main hojain ab hum
safeena howa hay rawana Nabi ka
6) Hain Naalain sarwar Naveed aur sarwar
Ghulam e Khadeja Nabi kay hain Nokar
Dua hay yeh inki jo ho Roz e mehshar
tou in per bhi ho Shamyana Nabi ka