Sayyada, fatima, zehra o batool e azra

- Mir Hasan Mir (2010)


Ya fatima zehra..(4)

Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

Rab ke hone ki..(2)
zamanat hai musalla tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

1. Koi tafseel se likhe jo teri azmat ko
kam se kam qur'aan ho..(2)
mukhtasir likhe to kausar hai qaseeda tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

2. Nisf eeman ki hoti hai muhafiz zawja
isse sabit ye hua..(2)
kulle eemaan ka eeman hai adha tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

3. Ab samajh aaya ke jibreek kyu aage na badhe
taake duniya samjhe..(2)
sarhad e sidra se aage hai ilaaqa tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

4. Tune dozakh se bachana hai gunehgaro ko
hum azadaro ko..(2)
naam Allah ne yu fatima rakha tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

5. Noor hai aaya e tatheer ka mafhoom hai wo
sach hai masoom hai wo..(2)
tune jab keh diya abbas hai beta tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

6. Teri fizza ko abhi tak nahi samjha koi
ae meri shahzadi..(2)
kese duniya ko samajh aaega rutba tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

7. Tab kahi jaake andhero me ujale utre
chaand, suraj chamke..(2)
jab utara gaya aflaak pe sadqa tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

8. Kya hai Allah ka kya hai tera maloom nahi
hai takallum ko yaqee..(2)
maslak e ishq me hota nahi mera tera
Sayyada, fatima, zehra o batool e azra..(2)

Ya fatima zehra..(4)