Zindaan me sakina ye buka karti thi rokar

- Naeem Abbas Roofi (2010)


Zinda me Sakina ye buka karti thi rokar
Dam ghut-ta hai amma mera,
ab ya se chalo ghar

1. Kya andhera hai sujhaee nahi deta kuchh bhi
Haath rakhta nahi amma mere sar par koi
Aur chand roz me mar jaoongi mai ghut ghut kar

2. Neel rukhsar pe kaano se lahoo taaza hai
Kuchh mere dard ka Amma tumhe andaza hai
Raat din roti hu karde koi baba ko khabar

3. Pyaas se khushq hai rassi se galaa hai zakhmi
Us pe ye zulm ke rone bhi nahi dete shaki
Ghurkiya shimr jo deta hai to phat-ta hai jigar

4. Khaq pe soti hu Baba ka nahi hai seena
Kitna dushwar hai is ranjo mahan me jeena
Raat din roti hu karde koi Baba ko khabar

5. Khu bhara kurta badal do mera pyari Amma
Apni godi me sula lo mujhe wari Amma
Sone deta nahi ik pal bhi mujhe hijre pedar

6. Tum to kahti thi rihaee ki ghari a pahuchi
Aisa lagta hai judaee ki ghari a pahuchi
Hu bahut milne ko Baba aur Chacha se mauntazar

7. Neend aati na thi rehan jise wo bachhi
So gaee shaam ke zindaan me ye kahti huee
Chain se soyungi jaaongi jo zindaan se ghar