Sabran sabran ya zainab

- Ali Safdar (2014)


tha khaimo me kohraam bapa
sabran zainab
maghmoom thi saari karbobala
shabbir salame akhir ko aae to yahi thi labpe sada
sabran zainab..(8)
zainab zainab zainab zainab
sabran sabran ya zainab..(2)

1. Hai peshe nazar khaliq ki reza
har laash uthakar laata hu
hai tere hawale zarf o niba
mai janibe maqtal jata hu
jab akhri rukhsat ko aae..(2)
shabbir ne ye zainab se kaha
sabran sabran ya zainab..(2)

2. Sab margae meri baari hai
ab teri ye zimmedari hai
roye na sakina mere bina
ye bachi jaan se pyari hai
pamaal sue aspaa hoga..(2)
zainab tere bhayya ka lasha
sabran sabran ya zainab..(2)

3. mai jaata hu maqtal ki taraf
ab naizo me talwaro me
paigham mera pohchana hai
darbaro me bazaro me
mazloom hamesha zinda hai..(2)
allah ka rahega naam sada
sabran sabran ya zainab..(2)

4. ae zainab mai zinda hu abhi
ankho me nahaye tere nabi
sabir ki bahen banke rehna
ae binte nabi ae binte ali
jab shame ghariba aae behen..(2)
ho lab pe tere shukran shukran
sabran sabran ya zainab..(2)

5. Teero pe badann hoga mera
aegi sadae wawaila
awaaz ye hogi amma ki
aur khaak udaenge nanaa
aur baba ali ke roze par..(2)
jibreel karenge aaho buka
sabran sabran ya zainab..(2)

6. Allah nigehbaa hai tera
ai binte ali binte zehra
ye ehle jafa ye ehle sitam
jab cheen le tere sar se rida
allah ko rakhna apne gawah..(2)
wo malik hai maula tera
sabran sabran ya zainab..(2)

7. akhir ye qayamat ka manzar
kis tarha sunaega safdar
kese ye kahu ae ehle aza
akho me lahu phatta hai jigar
bhai se lipatkar bibi ne..(2)
jis waqt kaha ab na kehna
sabran sabran ya zainab..(2)