ali ali ali ali haider

- Ali Safdar (2014)


shahe mardaa shere yazdaa quwate parwardigaar
la fata illa ali la saif illa zulfiqar

haider haider..(4)
haider haider ali ali..(4)

ali ali ali ali haider..(4)
haider haider ali ali..(4).. haider

1. Ya shahe najaf..(2)
dekhe yeh bhala ab kiski taraf
yeh ahle nafa ke dunya me
batil ki zaba par kalma hai
islam ka daai ban ban kar
karta hai kitale ahle sharaf
ae sar game dawar
ae khulq ke paykar
ae muniso yawar

2. Bismil bismil maqtal maqtal
galiyo me chauraho me
fir daure yazidi jari hai
fir jabir aql se aari hai
bechain gharo ke andar hai
aur khauf ibadat gaaho me
bazue payambar
maula e qambar
ai deen ke lashkar

3. Jo ale nabi k hasid ythe
rauzo ko girane aye hai
woh marqad bibi zainab par
sab hamla awar shad hue
woh jisko mita na paya koi
yeh usko mitane aaye hai
ai husne sharyyat
ai malike kismat
ai ruhe hidayat

4. Kalma bhi nabi ka padte hai
aur deen se b gaddari hai
masjid me dhamake karte
aur apas me ye kehte hai
kabe ko badalne ki khatir
ab aur hi kuch tayyari hai
ai gauhare kaba
dunya ke msiha
imdad ko aajao

5. Ab bhej de apne bete ko
jo zulm ki dunya saaf kare
woh aake mitaye kufro nifaaq
baki na kahe kuch khaufo hira
jo adl ka parcham lehrae aur
dunya me insaaf kare
ai ayne khuda
ay wajhe khuda
ay shere khuda

6. Kehti hai hina qaem aae
humsab ki duae puri ho
ham log bhi usme shamil ho
jab lashkare mehdi jang
mizane imamat par aakar
hum sab ki himayat puri ho
nabyon ne pukara
hum sab ka sahara
mazlum ka nara